jab bhī miltī hai mujhe ajnabī lagtī kyuuñ hai
zindagī roz na.e rañg badaltī kyuuñ hai
dhuup ke qahr kā Dar hai to dayār-e-shab se
sar-barahna koī parchhā.īñ nikaltī kyuuñ hai
mujh ko apnā na kahā is kā gilā tujh se nahīñ
is kā shikva hai ki begāna samajhtī kyuuñ hai
tujh se mil kar bhī na tanhā.ī miTegī merī
dil meñ rah rah ke yahī baat khaTaktī kyuuñ hai
mujh se kyā pūchh rahe ho mirī vahshat kā sabab
bū-e-āvāra se pūchho ki bhaTaktī kyuuñ hai