jāgtā huuñ maiñ ek akelā duniyā sotī hai
kitnī vahshat hijr kī lambī raat meñ hotī hai
yādoñ ke sailāb meñ jis dam maiñ ghir jaatā huuñ
dil-dīvār udhar jaane kī ḳhvāhish hotī hai
ḳhvāb dekhne kī hasrat meñ tanhā.ī merī
āñkhoñ kī banjar dhartī meñ nīndeñ botī hai
ḳhud ko tasallī denā kitnā mushkil hotā hai
koī qīmtī chiiz achānak jab bhī khotī hai
umr-safar jaarī hai bas ye khel dekhne ko
ruuh badan kā bojh kahāñ tak kab tak Dhotī hai