kārobār-e-shauq meñ bas fā.eda itnā huā
tujh se milnā thā ki maiñ kuchh aur bhī tanhā huā
koī palkoñ se utartī raat ko roke zarā
shaam kī dahlīz par ik saaya hai sahmā huā
munjamid hotī chalī jaatī haiñ āvāzeñ tamām
ek sannāTā hai saare shahar meñ phailā huā
āsmānoñ par likhī tahrīr dhundlī ho ga.ī
ab koī masraf nahīñ āñkhoñ kā ye achchhā huā
is hathelī meñ bahut sī dastakeñ rū-posh haiñ
us galī ke moḌ par ik ghar thā kal tak kyā huā