kab samāñ dekheñge ham zaḳhmoñ ke bhar jaane kā
naam letā hī nahīñ vaqt guzar jaane kā
jaane vo kaun hai jo dāman-e-dil khīñchtā hai
jab kabhī ham ne irāda kiyā mar jaane kā
dast-bardār abhī terī talab se ho jaa.eñ
koī rasta bhī to ho lauT ke ghar jaane kā
laatā ham tak bhī koī niiñd se bojhal rāteñ
aatā ham ko bhī maza ḳhvāb meñ Dar jaane kā
sochte hī rahe pūchheñge tirī āñkhoñ se
kis se sīkhā hai hunar dil meñ utar jaane kā