kabhī jo ḳhatm na ho aisī tāzgī de dī
tirī vafā ne na.ī mujh ko zindagī de dī
hamāre paas thā kyā aur matā-e-dil ke sivā
tire savāl pe vo bhī ḳhushī ḳhushī de dī
vo shaḳhs kaun thā jis ke ḳhulūs-e-paiham ne
mirī hayāt ko sūraj sī raushnī de dī
ajiib baat hai jis ne hayāt māñgī thī
use to maut milī mujh ko zindagī de dī
maiñ apne daur se kis darja sharmsār rahe
ġhazab kiyā mujhe irfān-o-āgahī de dī
taḌap taḌap ke jiye jis ke pyaar meñ 'afshāñ'
usī kī yaad meñ lo aaj jaan bhī de dī