Fauziya rabab

yunhi dukh ho jawenge kam shahzade

Fauziya rabab

Bijnor, Uttar pradesh, India

yūñhī dukh ho jāveñge kam shahzāde
aa jā sukh ke ḳhvāb buneñ ham shahzāde
apne hosh gañvā baiThī huuñ phir se aaj
soch rahī huuñ tujh ko har dam shahzāde
shahzādī ke ḳhvāb azaab na kar jaanā
ho jāveñgī āñkheñ pur-nam shahzāde
merī ruuh meñ terī yaad utartī hai
haule haule maddham maddham shahzāde
aisā saḳht takallum āḳhir kyoñ bolo
kyoñ rahte ho barham barham shahzāde
kab tak tanhā tanhā TūTeñ bikhreñge
ruuh meñ ruuh ko hone de zam shahzāde
shahzāde kuchh aur na māñge shahzādī
nikle terī bāñhoñ meñ dam shahzāde
rafta rafta ho ga.e āḳhir tere naam
merā jīvan mere mausam shahzāde
tujh se hī mānūs huā so tū jaane
jag kyā jaane dil kā aalam shahzāde
aañsū tujh ko DhūñDeñ haiñ dīvāna-vār
shahzādī kī āñkheñ haiñ nam shahzāde
kab tak tanhā chuntī jaa.e zaḳhm 'rabāb'
rakh mīThe lafzoñ ke marham shahzāde
Top Urdushayar.com