nazar udaas jigar be-qarār chup ḳhāmosh
tujhe kahā na abhī sabr yaar chup ḳhāmosh
ye manziloñ ke sabhī vāhime machā.eñ shor
magar hai kis liye har rahguzār chup ḳhāmosh
vo umr bhar ke liye le gayā zabāñ merī
kahā thā us ne kabhī ek baar chup ḳhāmosh
na tū na terī koī baat nā tirī āvāz
samāñ hai aaj bahut sogvār chup ḳhāmosh
abhī samā.ateñ ghāyal haiñ talḳh lafzoñ se
sadā.eñ bhī haiñ baḌī taar taar chup ḳhāmosh
yahī to hai jo satātā mujhe nahīñ tujh sā
ye terā dard baḌā burdbār chup ḳhāmosh
zabāñ phisal ke tirī shaan tujh se chhīnegī
lagām de tū use mere yaar chup ḳhāmosh
'rabāb' koī dilāsa na hausla maujūd
zabān qufl-shuda dil dayār chup ḳhāmosh