usī kā zikr kahānī se iqtibās rahe
vo har ghaḌī jo mire vāste udaas rahe
ye us kā qurb mujhe ishq kī atā se milā
vo duur jaa.e magar mere ās-pās rahe
tarah tarah se mujhe tū bichhaḌ bichhaḌ ke milā
tarah tarah ke mire zehn meñ qayās rahe
tumhāre ġham ke sivā aur koī ġham bhī na thā
tumhāre dard mire dard kī asaas rahe
vo kitne naaz se kahne lage 'rabāb' agar
udaas rahne lagī hai to phir udaas rahe