Parveen Kumar Ashk

sine par rakh hijrat ka patthar chup-chap

Parveen Kumar Ashk

1951
siine par rakh hijrat kā patthar chup-chāp
ghar meñ rah aur chhoḌ de apnā ghar chup-chāp
chīḳh chīḳh kar maujeñ mujhe bulātī thiiñ
maiñ Duubā to baiTh gayā sāgar chup-chāp
maiñ sahrā ke band makāñ meñ rahtā huuñ
ḳhushbū kahāñ se aatī hai andar chup-chāp
gorā-chaTTā ruup vo kaalā jaadū thā
mujh par phūñk ke bhaag gayā mantar chup-chāp
maiñ ne apnā siina chiir ke dikhlāyā
lauT ga.e kyuuñ dard ke saudāgar chup-chāp
mere aañsū piine shaam ko ik chiḌiyā
merī god meñ aa baiThe uḌ kar chup-chāp
ik tanhā hai 'ashk' jo bole jaatā hai
sab andar ḳhāmosh haiñ sab bāhar chup-chāp
Top Urdushayar.com