log karte haiñ faqat vaqt guzārī pāgal
baat kartā hai yahāñ kaun hamārī pāgal
us ne ik baar kahā koī nahīñ tum jaisā
tab se maiñ lagne lagī ḳhud ko bhī pyārī pāgal
vo bhī hañs hañs ke kiyā kartā thā bāteñ aur maiñ
us kī bātoñ meñ chalī aa.ī bichārī pāgal
ek muddat se tirī raah meñ aa baiThī hai
ishq meñ tere huī rāj-kumārī pāgal
maiñ ne pūchhā ki koī mujh se ziyāda hai hasīñ
aa.ina hañs ke ye bolā arī jā rī pāgal
yuuñ nahīñ hai ki faqat nain hue haiñ mere
dekh kar tujh ko huī saarī kī saarī pāgal
us ne pūchhā ki mirī ho naañ to phir maiñ ne kahā
haañ tumhārī maiñ tumhārī maiñ tumhārī pāgal
maiñ 'rabāb' is se ziyāda tujhe ab kyā detī
zindagī maiñ ne tire naam pe vaarī pāgal