naqsh takmīl tak pahuñchtā hai
aks bas aap kā ubhartā hai
ab mohabbat kī aur had kyā ho
merī beTī meñ tū ubhartā hai
merī sāñsoñ meñ hai tirī ḳhushbū
merī mehñdī meñ tū hī rachtā hai
duur ho kar bhī mujh se duur nahīñ
merī sāñsoñ meñ tū mahaktā hai
ek bastī jalā.ī thī us ne
ab ke hākim hai kyā vo kartā hai
vo jo ilm-o-adab meñ baune haiñ
un kā sikka suḳhan meñ chaltā hai
dil kī mizrāb par 'rabāb' ab ke
dekhiye saaz kyā nikaltā hai