Nizamuddin Nizam

safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai

Nizamuddin Nizam

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1929
safar pe yuuñ musir huuñ maiñ ki hausloñ meñ jaan hai
jo luT chukā yaqīn thā jo bach gayā gumān hai
zamīn kī kashish kā jaal toḌ kar nikal ga.iiñ
magar ye tai hai chiyūñTiyoñ kī āḳhirī uḌaan hai
lahū ke naam likh diye haiñ tiir abr-o-bād ke
zamīñ hadaf banī huī hai āsmāñ kamān hai
vahī jo aadhī raat ko charāġh ban ke jal uThā
kisī kī yaad kā nahīñ vo zaḳhm kā nishān hai
mufāhamat ke dev kā asiir ho gayā 'nizām'
merī anā kā vo parind jis meñ merī jaan hai
Top Urdushayar.com