ajiib chhāyā hai ḳhauf-o-hirās āñkhoñ meñ
tumhārā dard nahīñ hai udaas āñkhoñ meñ
tamām dasht pe taarī hai vajd kā aalam
junūñ kā raqs sitāra-shanās āñkhoñ meñ
ga.e zamānoñ se rishta mirā nahīñ TuuTā
adhūre ḳhvāboñ kī rakkhī hai baas āñkhoñ meñ
har ek chehre se aisā dhuāñ nahīñ uThtā
ye ḳhaas raushnī hotī hai ḳhaas āñkhoñ meñ
ye kaisā ḳhvāb sajā hai 'rabāb' kuchh din se
ki kam nahīñ kabhī hotī miThās āñkhoñ meñ