tasavvur kār-farmā thā ki lazzat thī kahānī kī
isī tasvīr ne āñkhoñ pe jaise hukmarānī kī
mirī parvāz kā manzar abhī tīroñ se chhalnī hai
lahū meñ tar-ba-tar hai dāstāñ naql-e-makānī kī
laboñ par barf jam jaa.e to istifsār kyā ma.anī
ki shor-o-ġhul faqat tamhīd hai shola-bayānī kī
qadam rakhte hī jaise khul gayā daldal meñ darvāza
ajab kārīgarī dekhī yahāñ miTTī meñ paanī kī
dikhā.ī raah sāhil kī unheñ pur-pech maujoñ ne
usī tūfān ne kashtī ke haq meñ bādbānī kī
bahut zarḳhez miTTī hai 'nizām' apne badan meñ bhī
havas ne phuul mahkā.e lahū ne bāġhbānī kī