Nizamuddin Nizam

hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main

Nizamuddin Nizam

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1929
hairat aur iztirāb ko ham-sar karūñgā maiñ
dekhūñgā tujh ko aañkh ko patthar karūñgā maiñ
āñdhī ko oḌh lūñgā zarūrat paḌī agar
taptī huī chaTān ko bistar karūñgā maiñ
logoñ ko ek shaam dikhā.ūñgā mo.ajiza
saa.e ko apne qad ke barābar karūñgā maiñ
sāñpoñ ko dostoñ se bhī Dasvā.uñgā kabhī
dekhoge ye tamāshā saḌak par karūñgā maiñ
yā apnī band muTThiyāñ dekhūñgā ġhaur se
varna ḳhayāl-e-dast-e-sikandar karūñgā maiñ
'ġhālib' ke ba.ad urdu ġhazal mar ga.ī 'nizām'
murde pe aisā kaun sā mantar karūñgā maiñ
Top Urdushayar.com