Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

waqt jaisa hai ba-har-taur guzar jaana hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
vaqt jaisā hai ba-har-taur guzar jaanā hai
aaj jo zinda haqīqat hai kal afsāna hai
kab jalī sham-e-tamannā hameñ kuchh yaad nahīñ
itnā ma.alūm hai jal kar use bujh jaanā hai
merī vahshat ne abhī paañv nikāle bhī na the
dil-e-be-tāb ne zid kī mujhe ghar jaanā hai
vā agar bāb-e-muravvat ko nahīñ hai honā
aaj hī kah deñ jo kal aap ko farmānā hai
gardish-e-vaqt kā ye jabr hai shāyad jo log
sub.h zinda haiñ magar shaam ko mar jaanā hai
chashm-e-bīnā pe lagī tohmat nazzārā yūñhī
had-e-idrāk talak tār-e-nazar jaanā hai
ġharq honā na kahīñ ḳhvāb-e-farāmoshī meñ
muñh añdhere hī tumheñ 'rāhī' agar jaanā hai
Top Urdushayar.com