Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

husn-e-be-parwa ne jab chaha huwaida ho gaya

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
husn-e-be-parvā ne jab chāhā huvaidā ho gayā
aur jab chāhā zamāne-bhar se pardā ho gayā
toḌne paḌte haiñ sab rishte pa.e irfān-e-fan
jo savād-e-shauq meñ aayā vo tanhā ho gayā
thī ye ḳhush-fahmī ki hai pāyāb dariyā fikr kā
is meñ utre the ki paanī sar se ūñchā ho gayā
pur-asar niklī karishma-sāzī husn-e-talab
kal talak jo ġhair thā vo aaj apnā ho gayā
dard-e-tanhā.ī se sote-jāgte kaaTī thī raat
sub.h ne marham rakhā aisā gavārā ho gayā
kyā kaheñ us ko ba-juz sar-gashta-e-fahm-o-ḳhirad
jis ko dīvāna kahā duniyā ne daanā ho gayā
nāla-e-shab-gīr thā be-kaif 'rāhī' is qadar
us ke sannāToñ se saarā shahr suunā ho gayā
Top Urdushayar.com