ho agar dīda-e-tar husn-e-nazar khultā hai
shauq-e-nazzāra se ehsās kā dar khultā hai
puurī paḌtī hī nahīñ un ko ridā-e-ġhurbat
paañv Dhak jaa.eñ agar un ke to sar khultā hai
ajnabiyyat kī vo dīvāreñ uThā.e jaa.eñ
un meñ dar khultā hai kab ahl-e-nazar khultā hai
dil samajhtā hai ki āsūdgī manzil par hai
dekhnā ye hai kahāñ bār-e-safar khultā hai
mauja-e-shauq bhī ruḳh apnā badal le ai kaash
bādbāñ kashtī-e-ulfat kā jidhar khultā hai
husn-e-ḳhud-bīn-o-ḳhud-ārā hai mizājan phir bhī
shāz-o-nādir hī vo khultā hai agar khultā hai
rahguzar fikr-o-nazar kī na ho 'rāhī' mahdūd
ḳhizr hoñ saath to imkān-e-safar khultā hai