rafta rafta ārzūoñ kā ziyāñ hone ko hai
darhamī kuchh aisī zer-e-āsmāñ hone ko hai
pā-shikasta ho ga.e haiñ ham kaḌaktī dhuup meñ
shām-e-ġham ab dekhiye kab aur kahāñ hone ko hai
be-ruḳhī gar aap kī ai jān-e-jāñ yuuñ hī rahī
āḳhirash kār-e-vafā dil par garāñ hone ko hai
Dar hai dil āsūda-e-hirmāñ na ho jaa.e kahīñ
aag thī raushan jahāñ vo ḳhāk-dāñ hone ko hai
chashmak-e-barq-o-sharar se raat āñkhoñ meñ kaTī
sun rahe haiñ sub.h-e-nau ab zarfishāñ hone ko hai
kal talak to chal rahī thī dil-jaloñ kī dāstāñ
aaj un kā zikr zeb-e-dāstāñ hone ko hai
is qadar hai hasrat-e-nākām kā 'rāhī' ġhubār
naqsh-pā-e-ārzū bhī be-nishāñ hone ko hai