Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

barmala husn-e-dil-awez ka qissa na suna

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
barmalā husn-e-dil-āvez kā qissa na sunā
chāk-e-dāman nā dikhā uzr-e-zulaiḳhā na sunā
qābil-e-zikr mohabbat ke bahut se ruḳh haiñ
kār-e-vahshat ke sivā aur koī afsāna sunā
vaqt tezī se guzartā hai par aisā bhī bhī nahīñ
aaj kahtā hai bahut qissa-e-fardā na sunā
ā.ina-rū koī ta.abīr zarā dikhlā de
taaki pahchān luuñ us ko jise dekhā na sunā
kab se huuñ gosh-bar-āvāz tirī mahfil meñ
yaar dildār bas ab shikva-e-bejā na sunā
kal talak shor-e-anādil thā chaman meñ vaañ aaj
ik qayāmat se koī dil bhī dhaḌaktā na sunā
kisī jānib se chale 'rāhī' havā-e-namnāk
chāragar zikr-e-tunuk-ābī-e-dariyā na sunā
Top Urdushayar.com