Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

dil-e-muztar ki dawa kijiyega

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
dil-e-muztar kī davā kījiyegā
na ho mumkin to duā kījiyegā
bām-e-ulfat se to gul hī barseñ
talḳhī-e-jāñ na sivā kījiyegā
bār-e-jāñ ko to zarā kam kiije
qarz ehsāñ kā adā kījiyegā
jāñ-ba-lab haiñ jo ḳhizāñ meñ ashjār
zard pattoñ kī havā kījiyegā
shab-e-furqat ke taqāze jo hoñ
dil ko dil se na judā kījiyegā
be-nishāñ aap ke dīvāne haiñ
jī se guzreñ to patā kījiyegā
apnoñ meñ raat guzāreñ 'rāhī'
kal safar nām-e-ḳhudā kījiyegā
Top Urdushayar.com