charāġh-e-shauq lahū se jalā diyā ham ne
ik aur qissa-e-vahshat sunā diyā ham ne
jo mauj sar ko paTaktī rahī hai sāhil se
usī ko rū-kash-e-tūfāñ banā diyā ham ne
na.e jo ham-safar-e-kesh-e-ishq haiñ un ko
ma.āl-e-soz-e-mohabbat banā diyā ham ne
basān-e-ḳhāna-ba-doshāñ ka.ī hai umr apnī
jahāñ qayām kiyā ghar banā diyā ham ne
bujhī bujhī sī rahe sham-e-ārzū sar-e-bazm
so raushnī ke liye dil jalā diyā ham ne
zamīn-e-shor lagī dasht-e-ārzū meñ jahāñ
vahīñ pe ishq kā paudā lagā diyā ham ne
chale haiñ rah-guzar-e-shauq par havā kī tarah
jo aayā sāmne 'rāhī' haTā diyā ham ne