dil-e-dīvāna ki bhūle hī se ghar rahtā hai
zikr kyuuñ us kā magar shām-o-sahar rahtā hai
sīñchte rahiye use ḳhūn-e-jigar se aksar
be-samar varna tamannā kā shajar rahtā hai
bistar-e-shab pe taḌapte hī guzar jaa.e magar
dast-e-ummīd meñ dāmān-e-sahar rahtā hai
zaḳhm lagte hī rahe rūh-o-badan par itne
nahīñ ma.alūm ki ab dard kidhar rahtā hai
dasht-e-ulfat meñ kaḌī dhuup ke sannāTe haiñ
abr-e-ḳhush-rañg na saa.e kā guzar rahtā hai
yuuñ hī par tolte rahnā hai asīroñ ko yahāñ
qafas-e-shauq kā dar band agar rahtā hai
dam-ba-dam aatī hai āvāz-e-jaras kī 'rāhī'
koī to mujh meñ hai jo mahv-e-safar rahtā hai