husn-e-sāda kā vaar āñkheñ haiñ
bin tire be-qarār āñkheñ haiñ
merī jānib hai jo tirā chehra
merī jānib hazār āñkheñ haiñ
aib terā kahāñ chhupegā ab
shahr meñ be-shumār āñkheñ haiñ
maiñ ne tarz-e-vafā thā apnāyā
is liye ashk-bār āñkheñ haiñ
pārsā.ī kahāñ ga.ī bolo
aaj kyoñ dāġh-dār āñkheñ haiñ
ek naqsha thā ḳhvāb kā khīñchā
is liye taar taar āñkheñ haiñ
jaise in meñ sahāb rahte hoñ
kitnī zār-o-qatār āñkheñ haiñ
jin kī ta.abīr meñ mile vahshat
aise ḳhvāboñ pe baar āñkheñ haiñ
vo jo chehra hī paḌh nahīñ saktīñ
kitnī jāhil gañvār āñkheñ haiñ
vo nazar ār-pār hotī hai
haa.e kyā dil-figār āñkheñ haiñ
ḳhvāb dekhā 'rabāb' ne kyūñkar
is liye sū-e-dār āñḳheñ haiñ