Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

ek qayamat waqt se pahle bapa hone ko hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
ik qayāmat vaqt se pahle bapā hone ko hai
ai ḳhudā.e mehrbāñ ab aur kyā hone ko hai
mausam-e-gul meñ ḳhizāñ sāya-fagan hai kis liye
darpai āzār kyā bād-e-sabā hone ko hai
jism-o-jāñ meñ qurbatoñ kī intihā ho jaa.e gar
jaan leñ phir dūriyoñ kī ibtidā hone ko hai
chhoḌ dī maiñ ne matā-e-ḳhvāb duniyā ke liye
hashr ik taqsīm par us kī bapā hone ko hai
dil dhaḌaktā hai yūñhī andesha-e-fardā hai kyuuñ
aisā lagtā hai ki koī hādisa hone ko hai
jal chukā merā nasheman dekhnā ye hai ki ab
aag phailegī kahāñ par aur kyā hone ko hai
chāñd-tāroñ kā safar 'rāhī' kareñge ek din
kā.enāt-e-be-karāñ ab zer-e-pā hone ko hai
Top Urdushayar.com