Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

likha hai dil-zadon ka barsar-e-paikar ho jaana

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
likhā hai dil-zadoñ kā barsar-e-paikār ho jaanā
aur un kā ḳhud-kushī karne pe bhī tayyār ho jaanā
satīza-kārī-e-rūh-o-badan se kījiye mumkin
bhaḌakte sho.ala-hā-e-jaur kā gul-mār ho jaanā
naqāb-e-ruḳh uThā.ī kis liye itnā to farmā deñ
agar taqdīr meñ hai kushta-e-dīdār ho jaanā
nashāt-e-be-panāh-e-āshiqī hai mast-kāmī se
kisī kā manzil-e-irfāñ pe pur-asrār ho jaanā
bikhar jā.ūñgā ik lamhe meñ terī talḳh-kāmī se
nahīñ āsāñ mirī yakjā.ī phir ik baar ho jaanā
hai yūrish tīrgī kī shaam se lekin ġhanīmat hai
shab-e-tanhā.ī kā āḳhir sahar-āsār ho jaanā
kaḌaktī dhuup ke sannāTe jab hoñ maujzan 'rāhī'
ġhanīmat hai bahut sahrā-e-jāñ kā paar ho jaanā
Top Urdushayar.com