Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

main aks-gar-e-jalwa-e-jaanana bana hun

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
maiñ aks-gar-e-jalva-e-jānāna banā huuñ
ḳhush huuñ ki mohabbat kā jilau-ḳhāna banā huuñ
dil-soz nahīñ ahl-e-chaman ātish-e-gul se
ai bād-e-sabā maiñ yūñhī dīvāna banā huuñ
maḳhfī koī dīvār hai shāyad mire andar
maiñ apnoñ meñ rahte hue begāna banā huuñ
raushan harm-e-jāñ meñ hai ik sham-e-tamannā
dil pahle jalāyā hai to parvāna banā huuñ
lāzim thā ki duniyā ko har ik rañg meñ dekhūñ
dīvāna banā huuñ kabhī farzāna banā huuñ
kyuuñ merā nasheman hai samundar kī tahoñ meñ
aisā to nahīñ hai ki maiñ dariyā na banā huuñ
shohrat mirī raahe thī jahāñ dīda-varī kī
is kār-gah-e-shauq meñ afsāna banā huuñ
Top Urdushayar.com