Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

dard-e-jigar KHud apni dawa ho aisa bhi ho sakta hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935
dard-e-jigar ḳhud apnī davā ho aisā bhī ho saktā hai
yuuñ hī kitāb-e-zar meñ likhā ho aisā bhī ho saktā hai
hijr kī raat meñ sham-e-shabistāñ had se baḌh kar raushan thī
is hañgām meñ dil bhī jalā ho aisā bhī ho saktā hai
roz-e-azal jo ahd kiyā thā insāñ ne vo sach hī thā
bār-e-amānat uTh na sakā ho aisā bhī ho saktā hai
kahāñ nasheman dil kā banā.eñ uljhan bhī hai aur Dar bhī
ḳhud hī shikasta shāḳh-e-vafā ho aisā bhī ho saktā hai
harf-e-vafā kī koī vaq.at duniyā kī nazroñ meñ nahīñ
harf-e-vafā hī jhuuT kahā ho aisā bhī ho saktā hai
husn-o-ishq kī laag meñ āḳhir kis ko mujrim Thahrā.eñ
dil kā dāman chaak huā ho aisā bhī ho saktā hai
bahr-etamannā se 'rāhī' aa.ī hai sadā-e-ġharqābī
dil kā safīna Duub rahā ho aisā bhī ho saktā hai
Top Urdushayar.com