raat ga.e zindāñ meñ jaane kis qaidī kā mātam thā
us kī beḌiyāñ chup chup sī thiiñ aur ujālā kam kam thā
jaane kyuuñ guftār pe us kī vahm-o-gumāñ ke saa.e the
baat to us kī sīdhī sī thī lahja kuchh kuchh mub.ham thā
fasl-e-bahārāñ aa.ī bhī lekin chaak garebāñ ho na sake
jaane diloñ par kyā guzrī thī kaun sā us kā mausam thā
dasht-e-junūñ meñ dhuup kaḌī thī nauha-kunāñ the sannāTe
jaane terī yaad kā bādal saaya fagan kyuuñ paiham thā
soḳhta-sāmāñ dasht-e-talab se lauT ke aa.e to dekhā
saare gharoñ meñ un kā ghar hī itnā darham-barham thā
ḳhauf-o-rajā kā sahn-e-chaman meñ ek hī jaisā haal huā
zikr-e-sho.ala-o-shabnam bhī thā barq-e-fanā kā mātam thā
rāh-e-vafā meñ hirs-o-havā ke itne dilkash manzar the
us meñ 'rāhī' bhaTak gayā vo āḳhir ibn-e-ādam thā