ik junūñ kahiye use jo mire sar se niklā
varna matlab na koī arz-e-hunar se niklā
koī manzil na milī paañv jo ghar se niklā
phir safar pesh thā jab gard-e-safar se niklā
bach ke har-chand zamāne kī nazar se niklā
sāmne kū-e-malāmat thā jidhar se niklā
maiñ bahut duur kahīñ chhoḌ chukā thā us ko
qāfila phir mirī hasrat kā kidhar se niklā
uTh ke us bazm se aa jaanā kuchh āsān na thā
ek dīvār se niklā huuñ jo dar se niklā
mai-kada dekhā to yād-e-ġham-e-yārāñ aa.ī
jaam chhalkā to lahū zaḳhm-e-jigar se niklā
bhiiḌ ke ḳhauf se phir ghar kī taraf lauT aayā
ghar se jab shahr meñ tanhā.ī ke Dar se niklā
paḌ gayā vaqt to sadiyoñ ke bharam TuuT ga.e
kaam kuchh shaam se niklā na sahar se niklā