dil meñ tasvīr tirī aañkh meñ āsār tire
zaḳhm hāthoñ meñ liye phirte haiñ bīmār tire
ai shab-e-rañj-o-alam dekh zarā rahm to kar
aah kis karb meñ rahte haiñ azādār tire
zo.am hai tujh ko agar apne qabīle pe to sun
mere qadmoñ meñ gire the kabhī sardār tire
aaj bāzār meñ laa.ī ga.ī jab terī shabīh
bhāgte dauḌte aa pahuñche ḳharīdār tire
sāmne kyuuñ tirī ismat pe uThī hai uñglī
kyoñ ye charche haiñ musalsal pas-e-dīvār tire
in ke dukh-dard kā tujh se bhī mudāvā na huā
apnī hālat pe jo hañste rahe fankār tire
mujh se phir chhuTte hue abr-e-alam ne ye kahā
aaj kī shaam palaT ā.eñge ġham-ḳhvār tire
jaane kyā rañg 'rabāb' ab unheñ degī duniyā
kis qadar dard se labrez haiñ ash.ār tire