ghabrā.eñ havādis se kyā ham jiine ke sahāre nikleñge
Dūbegā agar ye sūraj bhī to chāñd sitāre nikleñge
andāz-e-zamāna kahtā hai phir mauj-e-havā ruḳh badlegī
añgāroñ se gulshan phūTegā shabnam se sharāre nikleñge
firdaus-e-nazar ke dīvāne tārīk fazā se kyā Darnā
tū sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazāre nikleñge
anjām-e-kashākash hogā kuchh dekheñ to tamāshā dīvāne
yā ḳhaak uḌegī gardūñ par yā farsh pe taare nikleñge
'masrūr' kareñ ahl-e-sāhil kuchh fikr na himmat vāloñ kī
Dūbeñge safīne jitne bhī ik din vo kināre nikleñge