chale bazm-e-daurāñ se jab zahr pī ke
baḌhe hausle aur bhī zindagī ke
fasānoñ se merī hī āvārgī ke
muayyan hue rāste zindagī ke
zamāne ko duuñ kyā ki dāman meñ mere
faqat chand aañsū haiñ vo bhī kisī ke
nigāh-e-karam kī zarūrat nahīñ hai
zarā dekh luuñ be-sahāre bhī jī ke
haiñ 'masrūr' āñkheñ tumhārī jo pur-nam
batāo ye aañsū haiñ ġham yā ḳhushī ke