thī us ke liye ḳhvāb kī ta.abīr koī hiir
kartī thī na rāñjhe ko jo tasḳhīr koī hiir
hotī hai vo izzat bhī vo beTī bhī hayā bhī
kyuuñ pahne faqat ishq kī zanjīr koī hiir
is darja tumheñ pās-e-zamāna hai bhalā kyuuñ
kyā tum na karoge kabhī ta.amīr koī hiir
ilzām to aatā hai faqat ishq ke sar hī
rāñjhan kī to kartī nahīñ tahqīr koī hiir
tū bhī to kabhī soch mirī zaat ke mehvar
kyā aap hī kartī rahe tadbīr koī hiir
ab kaun sunā.egā 'rabāb' ishq-sahīfa
kartī jo nahīñ ab koī tafsīr koī hiir