guzregī kyā jamāl-e-ruḳh-e-yār dekh kar
hairat hai husn hasrat-e-dīdār dekh kar
nā-sāzī-e-jahāñ kī to parvā kabhī na thī
jī bujh gayā hai tum ko dil-āzār dekh kar
is dil-figār-e-shauq kī hasrat na pochhiye
majrūh ho gayā ho jo talvār dekh kar
āñkheñ huī thiiñ chaar ki pahlū meñ kuchh na thā
dil kho gayā nigāh-e-ḳharīdār dekh kar
koī khulā huā hai to koī chhupā huā
vaa.iz na chheḌ mujh ko gunāhgār dekh kar
betāb kar diyā nigah-e-iltifāt ne
aañsū nikal paḌe unheñ ġham-ḳhvār dekh kar
'kaukab' dayār-e-ishq kuchh aisā udaas hai
rotī hai bekasī dar-o-dīvār dekh kar