Kaukab Shahjahanpuri

ye hai meri nazron ki munajat ka aalam

Kaukab Shahjahanpuri

ye hai mirī nazroñ kī munājāt kā aalam
zarre bhī dikhāte haiñ samāvāt kā aalam
pur-nūr tire husn se āġhosh-e-tasavvur
duurī meñ bhī hāsil hai mulāqāt kā aalam
iimā kā hai faizān ki ehsās kā ehsān
ek ek jafā meñ hai mudārāt kā aalam
jalvoñ kī ye kasrat hai ki hairān haiñ āñkheñ
ā.īne dikhāte haiñ hijābāt kā aalam
dil par nahīñ qaabū to zabāñ laakh ho bas meñ
nazroñ se jhalaktā hai ḳhayālāt kā aalam
har mauj-e-nafas un kī mahak se hai mo.attar
pinhāñ hai taġhāful meñ ināyāt kā aalam
kyā zikr-e-suḳhan un kī ḳhamoshī meñ bhī 'kaukab'
añgḌā.iyāñ letā hai kināyāt kā aalam
Top Urdushayar.com