har din jis par phuul khileñ vo be-mausam kī Daal nahīñ maiñ
saaje na saaje har kañdhe par paḌne vaalī shaal nahīñ maiñ
miTTī kā huuñ pyāla lekin pyaas meñ sab kā haath baTā.ūñ
joḌ leñ jis meñ aartī jhaT se pītal kī vo thaal nahīñ maiñ
ḳhuub ḳhizāñ ko is kā pata hai hāl-e-zabūñ bhī merā judā hai
dosh-e-havā par uḌne vaale pattoñ sā behāl nahīñ maiñ
merā muqaddar haath meñ mere vaqt se mere rishte naate
jhūTī tasallī dene vaalī koī kitāb-e-fāl nahīñ maiñ
bād-e-muḳhālif laakh chale par uḌ nahīñ paa.e rañgat merī
rañg-ba-rañg calender par chhapne vaalā saal nahīñ maiñ
fankāro kī sunnat huuñ 'afsar' jo hai dil meñ vo hai muñh par
phāñsne vaalī chaal hai jis meñ makḌī kā vo jaal nahīñ maiñ