yuuñ khule bandoñ mohabbat kā na charchā karnā
baat dil kī hai use soch ke rusvā karnā
dushmanī mol to le sakte haiñ pal meñ sab se
saḳht dushvār hai ik rabt kā paidā karnā
dostī zarf-o-yaqīñ kī hai kaThin rāh-guzar
soch kar is se guzarne kā irāda karnā
kal koī shaḳhs sar-e-rāh ye detā thā sadā
ho sake to ġham-e-daurāñ kā mudāvā karnā
sab ke bas kā to nahīñ rog ye hargiz hargiz
dard ke ghor añdheroñ meñ ujālā karnā
ḳhud kī tanhā.ī ai 'afsar' hai muqaddar lekin
apnī ehsās kī samtoñ ko na tanhā karnā