shahr apnā hai magar log kahāñ haiñ apne
kahne sunñe ko zamāñ aur makāñ haiñ apne
ye duā farz samajh kar maiñ kiye jaatā huuñ
ḳhair se ḳhush raheñ ahbāb jahāñ haiñ apne
kab alag thī mirī duniyā se jo jannat chhoTī
koī apnā thā vahāñ aur na yahāñ haiñ apne
aa.ina mez kā apnī kabhī hissa na banā
shahr meñ kahne ko sab shīsha-garāñ haiñ apne
aaj ke saare yaqīñ un ke liye un ke liye
rañg jo badleñ vo asbāb-e-gumāñ haiñ apne
apne chehre kī ḳhabar jin ko nahīñ hai 'afsar'
un kī āñkhoñ pe sabhī aib ayaañ haiñ apne