sile hoñ lab zabāneñ band to bāteñ nahīñ hotīñ
muḳhālif rāste hoñ to mulāqāteñ nahīñ hotīñ
ye insānoñ pe insānoñ kī fauqiyyat ajab shai hai
ragoñ kī dauḌtī surḳhī meñ to zāteñ nahīñ hotīñ
likhī jaatī haiñ sañgīnoñ se āzādī kī tahrīreñ
kahīñ ḳhud pesh āzādī kī sauġhāteñ nahīñ hotīñ
jahāñ shab-ḳhūn maarā jā sake ḳhvābīda logoñ par
kisī bedār millat meñ to vo rāteñ nahīñ hotīñ
ghaTā se chhīnte haiñ īstāda koh bārish ko
zamīñ par leTe sahrāoñ par barsāteñ nahīñ hotīñ
'nafīr' is daur-e-ḳhud-āgāh insānoñ kī duniyā meñ
kahīñ haavī javāñ mardoñ pe āfāteñ nahīñ hotīñ