murda ragoñ meñ ḳhuun kī garmī kahāñ se aa.ī
thī shāḳh sabz phuul meñ surḳhī kahāñ se aa.ī
ye umr-e-rā.egāñ ye safar ḳhvāb meñ kaTā
phir ye thakan ye paañv pe miTTī kahāñ se aa.ī
dīvār ḳhūñ-chakāñ na mirā zaḳhm-e-sar hai surḳh
ye maslahat batā dil-e-vahshī kahāñ se aa.ī
maiñ sulh jo huā ġhalat ilzām se ḳhafā
ab pūchhte ho baat meñ talḳhī kahāñ se aa.ī
ilzām tum pe hai lab-e-goyā gurez kā
bebāk ho to phir ye ḳharābī kahāñ se aa.ī
mujh jaisā kam-suḳhan bhī hai is baar saḳht-go
is sust āb-jū meñ ravānī kahāñ se aa.ī
khiltā hai mausamoñ ke taġhayyur kā mujh se rañg
āḳhir mire ḳhamīr kī miTTī kahāñ se aa.ī