us ko mil kar dekh shāyad vo tirā ā.īna ho
ġhā.ebāna hī tirī us kī shanāsā.ī na ho
mujh pe zāhir hai tire jī meñ haiñ kyā kyā ḳhvāhisheñ
baat aisī kar ki jis meñ terī rusvā.ī na ho
ehtiyātan dekhtā chal apne saa.e kī taraf
is tarah shāyad tujhe ehsās-e-tanhā.ī na ho
āsmāñ ik dasht kī sūrat sitāre ret haiñ
to lab-e-dariyā sarāboñ kā tamannā.ī na ho
DhūñDh ab kuchh bhāgte logoñ meñ sūrat āshnā
in bagūloñ meñ ga.e lamhoñ kī purvā.ī na ho
thā safar dar-pesh sahrā kā girah meñ rakh diye
us ne kuchh kāñTe ki uzr-e-ābla-pā.ī na ho
khīñch legā abr se bārish agar sabza huā
tū kisī kī chaah meñ be-kār saudā.ī na ho
ham use chhūkar yahī samjhe ki vo patthar nahīñ
is se baḌh kar aur kyā kahiye jo bīnā.ī na ho
khul ga.ī hai aañkh to chādar banā kar dekh le
tere kamre hī meñ in ḳhvāboñ kī ra.anā.ī na ho
zaḳhm tere dil kī zīnat haiñ unheñ parde meñ rakh
koī nā-mahram tire ghar kā tamāshā.ī na ho
aaj 'shāhid' us ke darvāze pe paañv ruk ga.e
radio bajtā thā maiñ chauñkā ki shahnā.ī na ho