Saleem Shahid

kya mera iKHtiyar zaman-o-makan par

Saleem Shahid

kyā merā iḳhtiyār zamān-o-makān par
pahre biThā diye haiñ kisī shai ne dhaan par
tujh se bichhaḌ ke ghar kī taraf lauTte hue
kyuuñ bastiyoñ kā vahm huā har chaTān par
hasrat rahī ki sūrat-e-āb-e-ravāñ chaleñ
kab se misāl-e-sañg paḌe haiñ Dhalān par
thī jin kī dastaras meñ havā pā-ba-gil hue
ai musht-e-ḳhāk zo.am kahāñ kā uḌaan par
haañ aarzū to dil meñ kabhī se hai zaḳhm kī
kyā apnā iḳhtiyār kisī kī kamān par
Dhalne lagī hai shaam mire ḳhāk-dāñ kī ḳhair
shoa.la-fishāñ huī hai shafaq āsmān par
'shāhid' tamām umr phirā dar-ba-dar magar
dastak na de sakā kabhī apne makān par
Top Urdushayar.com