Saleem Shahid

farsh-e-zamin pe barg-e-KHizani ka rang hai

Saleem Shahid

farsh-e-zamīñ pe barg-e-ḳhizānī kā rañg hai
dīvār-o-dar pe naql-e-makānī kā rañg hai
āñkhoñ meñ tairte haiñ safīne vidā.a ke
lahje meñ āb-jū kī ravānī kā rañg hai
ifrāt-e-chashm-o-lab kī kahīñ sīḌhiyoñ meñ thī
lekin chhatoñ pe qaht-o-girānī kā rañg hai
gāloñ pe ik lakīr sī sailāb-e-ashk se
dīvār par kahīñ kahīñ paanī kā rañg hai
surḳhī ke saath aam sā be-sharh vāqi.a
tasvīr meñ ajiib ma.ānī kā rañg hai
qāsid ke donoñ haath khule lab ḳhamosh haiñ
kuchh aañkh meñ payām-e-zabānī kā rañg hai
logoñ ne shauq-e-sabz meñ pakne na dī ye fasl
har-chand surḳh ahd-e-javānī kā rañg hai
Top Urdushayar.com