Saleem Shahid

ab shahr ki aur dasht ki hai ek kahani

Saleem Shahid

ab shahr kī aur dasht kī hai ek kahānī
har shaḳhs hai pyāsā ki mayassar nahīñ paanī
maiñ toḌ bhī saktā huuñ rivāyāt kī zanjīr
maiñ dahr ke har ek tamaddun kā huuñ baanī
maiñ ne tirī tasvīr ko kyā rañg diye haiñ
andāz badal detā hai lafzoñ ke ma.ānī
ab bhī hai havāoñ meñ ga.e vaqt kī āvāz
mahfūz hai sīnoñ meñ har ik yaad purānī
maiñ sab se alāhada huuñ magar mujh meñ hai sab kuchh
Thahrā huā sahrā ho ki dariyā kī ravānī
ik umr se in āñkhoñ ne bādal nahīñ dekhe
dekhī na sunī thī kabhī aisī bhī girānī
Top Urdushayar.com