dard kī ḳhushbū se saarā ghar mo.attar ho gayā
zaḳhm khā khā kar badan phūloñ kā paikar ho gayā
mā.il-e-parvāz har lahza hai murġh-e-justujū
maiñ jo sīḌhī par chaḌhā vo aur uupar ho gayā
gauhar-e-ummīd laa.eñ kis athāh meñ Duub kar
ham jo ġhota-zan hue gahrā samundar ho gayā
tirchhe sūraj kī shuā.eñ de ga.iiñ ik ham-safar
merā saaya hī mire qad ke barābar ho gayā
ham shafaq ko dekh kar tārīkiyoñ meñ kho ga.e
aag chhat par thī dhuāñ kamre ke andar ho gayā
peḌ par baiThe parindoñ par gumāñ pattoñ kā thā
dam-zadan meñ aañkh se ojhal vo manzar ho gayā
sub.h kā āġhāz thā aur chehre par thī gard-e-shab
phuul kī sūrat shagufta maiñ nahā kar ho gayā
maiñ samajhtā thā ta.āqub meñ faqat haiñ vāhme
lauT kar dekhā magar jis ne bhī patthar ho gayā
sañg paanī meñ girā kar dekh lo ubhregī lahr
baat aisī thī ki maiñ aape se bāhar ho gayā
jin daraḳhtoñ kī ghanī chhāñv thī vo sab kaT ga.e
yuuñ lagā 'shāhid' mujhe jaise maiñ be-ghar ho gayā