Saleem Shahid

phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa

Saleem Shahid

phir koī mahshar uThāne merī tanhā.ī meñ aa
apne hone kī ḳhabar le kar kabhī bastī meñ aa
dekhnā Thahrā to phir ik ye tamāshā bhī sahī
aag lagne kī ḳhabar sun kar hī ab khiḌkī meñ aa
ai mire hoñToñ kī lazzat shāḳh ko bojhal na kar
ik hilore meñ shajar se TuuT kar jholī meñ aa
jurm-e-be-lazzat hai sāhil par tirī tar-dāmanī
yā palaT ḳhushkī kī jānib yā khule paanī meñ aa
toḌ bhī de halqa-e-yārāñ bahut shab Dhal chukī
naql-e-zindānī ko ghar kī chār-dīvārī meñ aa
mere pairoñ meñ to zanjīreñ galī kūchoñ kī haiñ
mujh se milne shahr kī gunjān ābādī meñ aa
ḳhvāhish-e-be-ḳhānumāñ ko lā makān-e-harf meñ
nau-valad bachche kī sūrat paikar-e-ma.anī meñ aa
niiñd kuchh kar le ki taaza aañkh pe sūraj khule
sub.h sāhil par utarnā hai to is kashtī meñ aa
ḳhuun shiryānoñ kā āñkhoñ meñ dikhā.ī de sake
tū bhī dariyā hai agar 'shāhid' to tuġhyānī meñ aa
Top Urdushayar.com