Saleem Shahid

abr sarka chand ki chehra-numai ho gai

Saleem Shahid

abr sarkā chāñd kī chehra-numā.ī ho ga.ī
ik jhalak dekhā use aur āshnā.ī ho ga.ī
so gayā to ḳhvāb apne ghar meñ le aa.e mujhe
jaise merī vaqt se pahle rihā.ī ho ga.ī
mere kamre meñ koī tasvīr pahle to na thī
us ko dekhā saade kāġhaz par chhapā.ī ho ga.ī
maiñ khulī chhat se utar aayā bhare bāzār meñ
sāmne khiḌkī kī raunaq jab parā.ī ho ga.ī
uḌ rahī hai har taraf sūraj ke añgāre kī raakh
bujh gayā din jal ke ḳhākistar ḳhudā.ī ho ga.ī
kaash jīte-jī shajar saa.e meñ le letā mujhe
vasl ke mausam se pahle hī judā.ī ho ga.ī
bah chuke aañsū to chashm-e-sabz kā rañg uḌ gayā
rafta rafta zard is dariyā kī kaa.ī ho ga.ī
ho ga.ī 'shāhid' vo chashm-e-sañg paanī kyā huā
kis tarah nāḳhun se patthar par khudā.ī ho ga.ī
Top Urdushayar.com