Saleem Shahid

dil bhar aae aur abr-e-dida mein pani na ho

Saleem Shahid

dil bhar aa.e aur abr-e-dīda meñ paanī na ho
ye zamīñ sahrā dikhā.ī de jo bārānī na ho
shauq itnā sahal kyuuñ us paar le jaa.e mujhe
phir palaT aa.uuñ agar dariyā meñ tuġhyānī na ho
kaan bajte haiñ havā kī sīTiyoñ par rāt-bhar
chauñk uThtā huuñ ki aahaT jānī-pahchānī na ho
ho ga.e be-ḳhud to Tīsoñ kā maza chhin jā.egā
roktā huuñ dard kī itnī farāvānī na ho
tere hone se mire dil meñ hai yādoñ kī chamak
chāñd bujh jaa.e agar sūraj meñ tābānī na ho
Dhāñp le miTTī se tan apnā agar maqdūr ho
pairahan kaisā agar ehsās-e-uryānī na ho
jī rahā huuñ maiñ ki auroñ se bhī hai vābastagī
maut aa jaa.e agar koī pareshānī na ho
Daal de 'shāhid' shafaq par raat kī kaalī ridā
mere darvāze se zāhir ghar kī vīrānī na ho
Top Urdushayar.com