Saleem Shahid

harf-e-be-matlab ki maine kis qadar tafsir ki

Saleem Shahid

harf-e-be-matlab kī maiñ ne kis qadar tafsīr kī
shakl pahchānī ga.ī phir bhī na is tasvīr kī
sub.h kā darvāza khulte hī chalo gulshan kī samt
rañg uḌ jā.egā phūloñ kā agar tāḳhīr kī
qaid mere jism ke andar koī vahshī na ho
saañs letā huuñ to aatī hai sadā zanjīr kī
tere chehre par jo likkhā thā mirī āñkhoñ meñ hai
hifz hai mujh ko ibārat ab bhī us tahrīr kī
tujh ko dekhā bhī nahīñ lekin terī ḳhvāhish bhī hai
ret kī dīvār sat.h-e-āb par ta.amīr kī
ghar kī vīrānī dar-o-dīvār ke andar rahī
maiñ ne apne dard ko mohlat na dī tash.hīr kī
maiñ ne lauh-e-arsh par likkhā huā sab paḌh liyā
lā mirī āñkhoñ meñ miTTī de mirī taqdīr kī
mehr-o-mah lagte haiñ apne jism ke zarre mujhe
sochtā huuñ kaun sī manzil hai ye tasḳhīr kī
luT chuke vo haath shāhid jin se māñgī thī duā
haañ abhī tak hai fazāoñ meñ mahak tāsīr kī
Top Urdushayar.com